Friday, December 22, 2006

APNI ZINDAGI KI HAR SHAAM

APNI ZINDAGI KI HAR SHAAM
 
apni zindagi ki har sham teray naam kar doun
teri hii ankhoun ka jam teray naam kar doun
 
main doubh jaoun teri in jheel si gahri ankhoun main
phir apni barbadi ka ilzam teray nam kar doun
 
main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun
 
tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam
main apnay payar ka anjam teray naam kar doun
 
mohabatoun kay qaseeday likhoun teri sanaa mai
hazaron payar kay paygham teray naam kar doun
 
hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai
eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun
 
 
---------------------------------------------------------------------------
From - Bhoomi Patel
 
 
Also Enjoy our website :
www.kathiyavad.com
www.groupstalk.com

No comments: